dua ke hath mein KHanjar baDa ajib laga

dua ke hath mein khanjar bada ajib laga
badalte waqt ka manzar bada ajib laga

lahu wafaon ka pi kar bhi na hua gulzar
siyasaton ka ye banjar bada ajib laga

zamin se roti ugane hi wale hain bhuke
ye mehnaton ka muqaddar bada ajib laga

main aaina tha zamane ke hadson ka hi
usi ne dekha jo hans kar bada ajib laga

hua hai kya ki ujalon se dar rahe hain log
tumhaare shahr ka ghar ghar bada ajib laga

gunahon ke hi gale mein inayaton ka haar
adalaton ka ye zewar bada ajib laga

luti-luti si hai rahen miti-miti manzil
safar ye umr ka aksar bada ajib laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close