dukhata hai mera dil be alif re

dukhata hai mera dil be alif re
hua hun ranj se main ze alif re

udain dhajjiyan bhi tu ne lekin
chhuta daman na tujh se khe alif re

gareban-gir hai ye jo wahshat
na rakkha nam ko bhi te alif re

khushi se kat le qatil mera sar
hua hai ab to mujh ko be alif re

nigahon ko kahun kyun-kar na barchhi
ki sine se hui hain pe alif re

ilahi ze alif re to hua hun
pa chashm-e-ghair mein hun khe alif re

liya hai dil tumhaara us ne 'anjum'
kare aankhen wo kyunkar che alif re

tasawwur gul-rukhon ka 'asman' kyun
gale ka ho gaya hai he alif re


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close