duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne

duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne
baatil hai be-wajud haqiqat ke samne

hasrat se chup hun main teri surat ke samne
jaise gunahgar ho jannat ke samne

ruswaiyan hazar hon barbaadiyan hazar
parwa kise hai teri mohabbat ke samne

ai naz-e-ishq dar-o-rasan ki bisat kya
mere wufur-e-shauq-e-shahadat ke samne

ai husn-e-be-misal majal aaine ki kya
jo aa sake kabhi teri surat ke samne

aabaadiyon ko chhod ke khush ho gaya tha main
sahra bhi tang hai meri wahshat ke samne

lakhon hijab husn ko ghere rahen magar
thahre hain kab nigah-e-mohabbat ke samne

kitne pahad rah-e-wafa mein kate 'iram'
kitne abhi hain aur musibat ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close