duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe

duniya ke kuchh na kuchh to talabgar se rahe
hum apni hi nazar mein khata-kar se rahe
ek marhala tha khatm hua dasht-e-khwab ka
phir umr bhar jahan rahe bezar se rahe
jurat kisi ne wadi-e-wahshat ki phir na ki
hum khasta-haal aahani diwar se rahe
ek aks hai jo sath nahin chhodta kabhi
hum ta-hayat aaina-bardar se rahe
har subh apne ghar mein usi waqt jagna
aazad log bhi to giraftar se rahe
kar-e-azim kab koi qudrat mein tha 'suhail'
hum bas ufuq pe subh ke aasar se rahe

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close