duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake

duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake
hum jitna chahte the mohabbat na kar sake

saman-e-gul-faroshi-e-rahat na kar sake
rahat ko hum sharik-e-mohabbat na kar sake

yun kasrat-e-jamal ne luti mata-e-did
taskin-e-tishna-kaami-e-hairat na kar sake

ab ishq-e-kham-kar hi arman ko de jawab
hum un ko be-qarar-e-mohabbat na kar sake

be-mehriyon se kaam raha go tamam-umr
be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake

kuchh aisi iltifat-numa thi nigah-e-dost
hote rahe tabah shikayat na kar sake

nakaamiyan to farz ada apna kar gain
hum hain ki e'tiraf-e-hazimat na kar sake

fakhr-e-munasibat mein tera nam le liya
hum khud hi parda-dari-e-ulfat na kar sake

har-chand haal-e-dida-o-dil hum kaha kiye
tashrih-e-kaifiyat-e-mohabbat na kar sake

aflak par to hum ne banain hazar-ha
tamir koi dahr mein jannat na kar sake

hamsaegi-e-zahid-e-bad-khu ke khauf se
parwardigar teri ibaadat na kar sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close