duniya mein kise aag lagani nahin aati

duniya mein kise aag lagani nahin aati
afsos magar sab ko bujhani nahin aati

ta-hadd-e-nazar dasht hai kyun baithe hue ho
lagta hai tumhein khak udani nahin aati

wo shokh hai baaton mein laga rahta hai aksar
sunta hun mujhe baat banani nahin aati

bistar ki zarurat hi nahin nind ko pyare
kya jism ki chadar hi bichhani nahin aati

bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein
lekin mere ashkon mein rawani nahin aati

khushbu se mahakti hi nahin raat hamari
khwabon mein agar raat ki rani nahin aati

nadan meri mez ke shishe pe gire hain
ashkon ko bhi taswir banani nahin aati

main khud bhi khilaunon ka taraf-dar rahunga
jab tak mere bachchon pe jawani nahin aati

main sirf haqiqat hi bayan karta hun 'aijaz'
afsana nahin aata kahani nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close