dur hai ba-huzur lagta hai

dur hai ba-huzur lagta hai
go hai mastur ur lagta hai

aab-o-nan-o-hawa nahin kafi
tere dil mein futur lagta hai

ja rahe ho khuda ke ghar yani
wo tumhein khud se dur lagta hai

garche hargiz mera qusur nahin
phir bhi mera qusur lagta hai

ek aalam pe bhi nahin raazi
ye dil na-subur lagta hai

zehn aazad fikr hasti hai
jo guna ka tanur lagta hai

ek mitti ka dher hai wo to
jo tumhein koh-e-tur lagta hai

roz hota hun ham-kalam us se
roz yaum-e-nushur lagta hai

khud phansate ho khud chhudate ho
khel koi huzur lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close