dur ta-hadd-e-nazar aab-e-shajar kuchh bhi nahin

dur ta-hadd-e-nazar aab-e-shajar kuchh bhi nahin
jaane kya kya tha nigahon mein magar kuchh bhi nahin

jis ki takmil mein ek umr hui apni tamam
waqt aaya to wo saman-e-safar kuchh bhi nahin

dur tak phail gai zakhm chatakne ki sada
wo bahut pas tha aur us ko khabar kuchh bhi nahin

har nafas karb ke jangal mein bhatakne ke siwa
aagahi kuchh bhi nahin fikr-o-nazar kuchh bhi nahin

ab wo ek pal ki masarrat ho ki sadiyon ka alam
koi surat ho in ashkon se mafar kuchh bhi nahin

raat phir jal ke pighal ke to sahar tak pahunchen
phir ye dekhen sar-e-daman-e-sahar kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close