dur ta-hadd-e-ufuq manzar sunahra ho gaya rafta rafta sham ka har rang gahra ho gaya ya to ab aahat koi mujh tak pahunch pati nahin ya mere andar ka sara shahr bahra ho gaya ek ek kar ke har ek taswir dhundlati gai jab udasi ka kuan kuchh aur gahra ho gaya kya kahun kis shahr ki viraniyan aankhon mein thin jis ghane jangal se main guzra wo sahra ho gaya