dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha

dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha
phir palak jhapki to kya dekha ki khud main bhi na tha

ek tadap bijli ki aur diwar-o-dar mitti ke dher
ek tadap shoale ki aur dariyaon mein pani na tha

daere banti sadaen chhu ke jab hadd-e-ufuq
apne markaz ki taraf lautin to kuchh baqi na tha

qaid-e-zindan-e-jasad mein tha ye kab kashf-e-wajud
aur bhi kuchh tha main sirf ek paikar-e-khaki na tha

kya khabar tum ne kahan kis rup mein dekha mujhe
main kahin moti kahin patthar kahin aaina tha

den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se
koi saat koi lamha koi pal khali na tha

aarzu lal-o-gohar ki kis liye karta 'bashir'
harf-o-mani ka khazina kya use kafi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close