dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban zer-e-pa tapti zamin hai sar pe jalta aasman jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui waqt ne khat aisa khincha mere us ke darmiyan ab ke sailab-e-bala sab kuchh baha kar le gaya ab na khwabon ke jazire hain na dil ki kashtiyan lutf un ka ab hua to hai magar kuchh is tarah jaise sahra se guzar jae koi abr-e-rawan munhasir hai aisi ek buniyaad par us ka yaqin jis tarah dosh-e-hawa par koi tinkon ka makan be-zabanon se khamoshi ka gila kaisa ki jab so gae lafzon ki chadar tan kar ahl-e-zaban ye safar kaisa hai 'mohsin' jitna badhte jaiye badhti jaen utni hi manzil-ba-manzil duriyan