dur the hosh-o-hawas apne se bhi begana tha

dur the hosh-o-hawas apne se bhi begana tha
un ko bazm-e-naz thi aur mujh ko khalwat-khana tha

khinch laya tha ye kis aalam se kis aalam mein hosh
apna haal apne liye jaise koi afsana tha

chhote chhote do waraq jal jal ke daftar ban gae
dars-e-hasrat de raha tha jo par-e-parwana tha

jaan kar warafta un ke chhedne ki der thi
phir to dil ek hosh mein aaya hua diwana tha

zau-fishan hone laga jab dil mein husn-e-khud-numa
phir to kaba 'arzu' kaba na tha but-khana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close