sikh liya jina maine

sikh liya jina main ne
itna zahr piya main ne

shikwa nahin kiya main ne
aansu ponchh liya main ne

un se mil kar aaya hun
khwab nahin dekha main ne

hawa ko aate jab dekha
raushan kiya diya main ne

pyasa tha karta bhi kya
likh dala dariya main ne

parcham sa lahraya hun
khai tez hawa main ne

husn-e-chaman likhta kaise
padha na ek patta main ne

diwaron ki basti mein
darwaza likkha main ne

pash pash hua phir bhi
sar uncha rakkha main ne

kisi ko kya dena 'hashmi'
qarz hi kiye ada main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close