dushman se bhi hath milaya ja sakta hai

dushman se bhi hath milaya ja sakta hai
dard ka bhi to lutf uthaya ja sakta hai

phir se ek mohabbat bhi ki ja sakti hai
tere gham se hath chhudaya ja sakta hai

sanjha koi beach mein ped laga lete hain
jis ka donon ghar mein saya ja sakta hai

hamsae jo apne ghar mein aaj nahin hain
diwaron ko dard sunaya ja sakta hai

hijr ke hath pe khuddari ko girwi rakh ke
phir se us ko phone lagaya ja sakta hai

sari raat ibaadat to hai mushkil 'azmi'
han raste se sang hataya ja sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close