dushmanon ko dost bhai ko sitamgar kah diya log kyun barham hain kya shishe ko patthar kah diya is liye mujh ko amir-e-shahr ne di hai saza main ne khud ko khadim-e-sibt-e-payambar kah diya chadhte suraj ki parastish mein sabhi masruf the mujh se jab puchha gaya allahu-akbar kah diya kitne sada-lauh hain ye sab safiran-e-junun rahzan bhi mil gaya to us ko rahbar kah diya ho gaya dushman bhi mere hausle ka mo'tarif mujh ko dariya-e-hawadis ka shanawar kah diya sher kahne mein mujhe 'ajiz' maza aane laga us ne jab be-sakhta mujh ko sukhan-war kah diya