ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha

ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha
arbab-e-wafa mein koi itna bhi nahin tha

lab jalte hain mai-khwaron ke sine nahin jalte
is darja khunuk shoala-e-mina bhi nahin tha

ek us ka taghaful hai wo yaad aa hi gaya hai
ek wada-e-farda hai wo bhula bhi nahin tha

kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte
tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha

ab husn pe khud us ka tasawwur bhi giran hai
pahle to giran khwab-e-zulekha bhi nahin tha

pahle meri wahshat ke ye andaz bhi kam the
pahle mujhe andaza-e-sahra bhi nahin tha

ab ye hai ki thamta hua dariya hai teri yaad
be-faiz ye dariya kabhi aisa bhi nahin tha

achchha to murawwat hi tera bosa-e-lab hai
achchha ye koi dil ka taqaza bhi nahin tha

majnun ke siwa kis se uthi minnat-e-didar
aakhir rukh-e-laila tha tamasha bhi nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close