ek ajib rag hai ek ajib guftugu

ek ajib rag hai ek ajib guftugu
sat suron ki aag hai aathwin sur ki justuju

bujhte hue mere khayal jin mein hazar-ha sawal
phir se bhadak ke ruh mein phail gae hain chaar-su

tira-shabi pe sabr tha so wo kisi ko bha gaya
aap hi aap chha gaya ek sahab-e-rang-o-bu

hansti hui gai hai subh pyar se aa rahi hai sham
teri shabih ban gai waqt ki gard hu-ba-hu

phir ye tamam silsila kya hai kidhar ko jaega
meri talash dar-ba-dar tera gurez ku-ba-ku

khun-e-junun to jal gaya shauq kidhar nikal gaya
sust hain dil ki dhadkanen tez hai nabz-e-arzu

tera mera qusur kya ye to hai jabr-e-irtiqa
bas wo jo rabt ho gaya aap hi pa gaya numu

main jo raha hun be-sukhan ye bhi hai ehtiram-e-fan
yani mujhe aziz thi apni ghazal ki aabru


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close