ek ajnabi KHayal mein KHud se juda raha

ek ajnabi khayal mein khud se juda raha
nind aa gai thi raat magar jagta raha

sangin hadson mein bhi hansti rahi hayat
patthar pe ek gulab hamesha khila raha

duniya ko us nigah ne diwana kar diya
main wo sitam-zarif ki bas dekhta raha

ek ajnabi mahak si lahu mein rachi rahi
naghma sa jaan-o-tan mein koi gunjta raha

ab ja ke ye khula ki har ek shakhs dosto
har shakhs ko libas se pahchanta raha

fikr-e-sukhan mein raat jo aaya khayal-e-'mir'
ta-der diary pe qalam kanpta raha

'saghar' tamam umr ki gardish ke bawajud
main us nigah-e-naz se na-ashna raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close