ek ajnabi ki tarah hai ye zindagi mere sath

ek ajnabi ki tarah hai ye zindagi mere sath
jo waqt kat rahi hai hansi-khushi mere sath

suna raha hun kisi aur ko katha apni
khada hua hai koi aur aadmi mere sath

safar mein ped ka saya nahin milega mujhe
bas itna sunte hi diwar chal padi mere sath

wo mujh ko pahle bhi tanha kahan samajhta tha
phir us ne meri udasi bhi dekh li mere sath

suna hai haal batane se dard ghatta hai
so ek roz charaghon ne baat ki mere sath

alaw jalta raha jab talak main chalta raha
main ruk gaya to kahani bhi ruk gai mere sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close