ek aks dil ke taT se be-iKHtiyar phuTe

ek aks dil ke tat se be-ikhtiyar phute
jab chand us nagar ki jhilon ke par phute

sadqa utarne ko tere madhur nayan ka
ubhre kai sitare ghunche hazar phute

wo aur main nadi ke naghmon pe bahti naw
naw mein us ke mukh se ujla nikhaar phute

kanon mein ab bhi khanken gajre tere gajar-dam
is ghar se jab dhuen ka nila ghubar phute

mujh ko jhula rahe hain giton ke jhulne mein
naghme jo payalon ke sapnon ke dwar phute

us sanwle badan par mahken khunuk sawere
un mast ankhdiyon se rangon ki phuwar phute

mat ro phir aaunga main parbat pe tujh se milne
jab barf-zar pighle jab aabshaar phute


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close