ek baat bahut KHas thi chehron ke safar mein

ek baat bahut khas thi chehron ke safar mein
tute hue aaine mile rahguzar mein

rahta hun ujalon ke andheron ke safar mein
ye kis ne mujhe bant diya sham-o-sahar mein

diwangi-e-shauq ki azmat hai nazar mein
sahraon ki taswir laga rakkhi hai ghar mein

jab tak ki na aa jaun main sahil ki nazar mein
rahne de mujhe gardish-e-taqdir bhanwar mein

aa jae agar baal to mit jate hain jauhar
main rakhta nahin tuta hua aaina ghar mein

badh jaegi ai ham-safaro duri-e-manzil
guzri hui baaton ko na doharao safar mein

ho pyar to aasani se aa sakta hai 'saulat'
jannat ka maza chhote se tute hue ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close