ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko

ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko
warna kya kuchh nahin hota hai yahan hone ko

dekh bedard zamane ki zabun-haali dekh
ek shana nahin milta hai jahan rone ko

raat-bhar khud se gale mil ke bahut roti hun
jhute munh bhi nahin kahta hai koi sone ko

kitni maili hai hawasnak nigahon ki chamak
ki samundar bhi bahut kam hai jise dhone ko

is ko bhi hijr ka tawan to bharna hoga
koi dam mein hai mukafat-e-amal hone ko

meri aawaz bhi mujh tak nahin pahunchegi jahan
main ne apne liye rakkha hai isi kone ko

kaise viran hain patthar se bhare khet mere
hal chalane ko nahin bij nahin bone ko

koi kis tarah mere haal se waqif hota
meri aankhon mein koi ashk na tha rone ko

kho gae khwab to aisi bhi badi baat nahin
main ne baqi hi kahan chhoda hai kuchh khone ko

aasmanon mein kise dhund rahi hun 'sima'
wo to baitha hai mere dil mein khuda hone ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close