ek be-sabaat aks bana be-nishan gaya main ganj-e-be-baha tha magar raegan gaya bhatka main apni zat ki wusat mein su-ba-su main apni justuju mein karan ta karan gaya tahrir ek aur tair ke tahlil ho gai ek aur naqsh-e-lauh-e-zaman-o-makan gaya qaem hue dilon ke abad-mauj rabte ek jumbish-e-nazar mein gham-e-do-jahan gaya kya kya chhupe na sabz ridaon mein regzar kya kya na lutf-e-sakhti-e-dasht-tapan gaya jadu ka tha dayar koi ya tilism-e-wahm ye dam-zadan mein shahr ka manzar kahan gaya dar kya khule bashir khala-e-basit ke dil se hazar waswasa-e-asman gaya