ek chehre par roz guzara hota hai pyar kisi ko kab dobara hota hai main tum par har bar bharosa karta hun itna sachcha jhuth tumhaara hota hai tum mere is dil ko pagal mat kahna apna bachcha sab ko pyara hota hai tum jao par yaadon ko to rahne do yaadon ka bhi ek sahaara hota hai us panchhi ka haal 'sachin' kis ne samjha jo pinjre mein qaid dobara hota hai