ek daere ki shakl mein khincha hua hisar

ek daere ki shakl mein khincha hua hisar
yalghaar se kuchh aur bhi badla hua hisar

ek shahr-e-khwab tha ki jahan qila-band the
aada ki yurishon se tawana hua hisar

chahe rasad ke raste masdud the bahut
jitna badha muhasara pukhta hua hisar

aabaad bastiyan thin fasilon ke sae mein
aapas mein bastiyon ko milata hua hisar

indar se rah kisi ne dikhai ghanim ko
phir main tha aur samne girta hua hisar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close