ek-dam KHushk mera dida-e-tar hai ki nahin

ek-dam khushk mera dida-e-tar hai ki nahin
majare se mere tujh ko bhi khabar hai ki nahin

yun to uthte hai mere dil se hazaron nale
lekin in khana-kharabon mein asar hai ki nahin

haal mera tujhe be-dard nahin gar bawar
dekh le aa ke ki ab nau-e-digar hai ki nahin

mere ghar kyunki tu aawe ki gali-kuchon mein
tere mushtaq kahan aur kidhar hai ki nahin

tujh mein bu pai na mutlaq kahin jinsiyyat ki
nasl-e-adam se tu ai shokh pisar hai ki nahin

bul-hawas dil ko kar apne zara bas mein 'hasrat'
mard-e-be-sabr tujhe kuchh bhi jigar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close