ek dariche ki tamanna mujhe dubhar hui hai

ek dariche ki tamanna mujhe dubhar hui hai
wo ghutan hi meri sanson pe muqarrar hui hai

aaj rakkhe hain qadam us ne meri chaukhat par
aaj dahliz meri chhat ke barabar hui hai

nind ne nind se chaunka ke uthaya mujh ko
khwab mein khwab ki tabir ujagar hui hai

us ne raaton ke taqaddus ko kiya hai majruh
ek mutthi bhi jise dhup mayassar hui hai

jab se sikha hai hunar shishagari ka main ne
bas usi din se ye duniya hai ki patthar hui hai

ab zaminon ko bichhae ki falak ko odhe
muflisi to bhari barsat mein be-ghar hui hai

ek muddat se jo sahra-e-masarrat thi 'salim'
gham ke chhute hi wahi chashm samundar hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close