ek ek lamha mujhe zist se be-zari hai

ek ek lamha mujhe zist se be-zari hai
meri har sans sulagti hui chingari hai

kya hi auraq musawwar hain kitab-e-dil ke
khun-e-arman se har ek safhe pe gul-kari hai

zakhm hi zakhm hain aankhon se laga kar dil tak
soch mein hun ki ye kis qism ki dildari hai

ye simatte hue sae ye larazte dar-o-baam
ek nai subh ke elan ki tayyari hai

har qadam par nazar aate hain salibon ke sutun
ye koi khwab hai ya aalam-e-bedari hai

kyun uthen panw junun ke su-e-manzil 'sadiq'
ek ek gam salasil ki giran-bari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close