ek guzarish hai bas itna kijiye

ek guzarish hai bas itna kijiye
jab kabhi fursat ho aaya kijiye

log is ka bhi ghalat matlab na len
ajnabiyyat se na dekha kijiye

khud ko apni aankh se dekha to hai
ab meri aankhon se dekha kijiye

iltija thi ek sada iltija
apni tanhai mein socha kijiye

yaad to hogi wo apni be-rukhi
ab meri taswir dekha kijiye

marham-e-zakhm-e-sukhan ban jaiye
kuchh mere fan ka mudawa kijiye

ishq ko kab yaad thi rasm-e-wafa
husn ka kis munh se shikwa kijiye

zulmat-e-gham jab ziyaada ho 'imam'
sham-e-fikr-o-fan jalaya kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close