ek hi bar mein KHwabon se kinara kar ke

ek hi bar mein khwabon se kinara kar ke
bujh gai did shab-e-wasl nazara kar ke

juz tere aur tariqe bhi nikal sakte the
hum ne dekha hi nahin khud ko dobara kar ke

hum to bas bolne wale the sabhi kuchh sach sach
tum ne achchha hi kiya chup ka ishaara kar ke

hum to sadiyon se isi taur basar karte hain
tum bhi kuchh roz yahan dekho guzara kar ke

khud ko saunpa tha tumhein hum ko tumhaara karne
tum ne lautaya hamein hum ko hamara kar ke

karte rahte hain jo har-waqt tumhaara charcha
khud ko chhodenge kisi roz tumhaara kar ke

ab ye dariya ye talatum ye safina kya hai
hum to sab bhul gae tum ko sahaara kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close