ek hum ki un ke waste mahw-e-fughan rahe

ek hum ki un ke waste mahw-e-fughan rahe
ek wo ki dast-e-shauq se daman-kashan rahe

dil mein yahi khalish rahe soz-e-nihan rahe
lekin mazaq-e-ishq-o-mohabbat jawan rahe

ek waqt tha ki dil ko sukun ki talash thi
aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihan rahe

ahl-e-wafa par aain hazaron musibaten
ye sab rahin-e-gardish-e-haft-asman rahe

un ka shabab har gul-e-nauras se phat pada
chhupne ke bawajud wo har su ayan rahe

hum ne hazar tarah kiya un ko mutmain
har baat par wo hum se magar bad-guman rahe

allah re talkh-kaami-e-ulfat ki intiha
mujh se mere 'aziz' bhi daman-kashan rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close