ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri

ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri
ek iztirab-e-mukammal hai khamushi meri

ye kis maqam pe pahunchi khud-agahi meri
ki aaj aap ne mahsus ki kami meri

mizaj-e-husn ko bhai na bandagi meri
niyaz-e-ishq mein shamil rahi khudi meri

muhit-e-kaun-o-makan hai jamal-e-parda-nashin
wo samne the jahan tak nazar gai meri

hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka
huzur-e-husn badhi aur bebasi meri

gulon ka zikr hi kya gul to khair gul hi hain
chaman ke khar udate hain ab hansi meri

pila pila ke nigahon se baada-e-taskin
badha raha hai koi aur tishnagi meri

rula rula ke zamane ne intiqam liya
mujhe to ras na aai kabhi hansi meri

teri nigah ne kya de ke shad-kaam kiya
ki be-niyaz-e-tamanna hai zindagi meri

rulaegi meri yaad un ko muddaton 'zauqi'
karenge bazm mein mahsus jab kami meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close