ek insan hun insan ka parastar hun main phir bhi duniya ki nigahon mein gunahgar hun main gardish-e-waqt ne is haal mein chhoda hai mujhe ab kisi shahr ka luta hua bazar hun main dar pe rahne de mujhe tat ka parda hi sahi tere aslaf ka chhoda hua kirdar hun main kitna mazbut hai ai dost talluq ka mahal barf ki chhat hai jo tu ret ki diwar hun main khun-bar-dosh hun main zang-rasida to nahin hai mujhe fakhr ki tuti hui talwar hun main ye jafaon ki saza hai ki tamashai hai tu ye wafaon ki saza hai ki pae-dar hun main hath phaila to kisi sae ne roka 'hamid' us se puchha to kaha jazba-e-khud-dar hun main