ek ishq-e-na-tamam hai ruswaiyan tamam

ek ishq-e-na-tamam hai ruswaiyan tamam
ugne lagi hain jism mein tanhaiyan tamam

kya shahr-e-arzu tha basa aur ujad gaya
ab sar-kashida phirti hain purwaiyan tamam

sanson ke zer-o-bam se hai saghar mein iztirab
jam-o-subu se pur-asar angdaiyan tamam

roz-e-azal se sochte zehnon ki ham-safar
sahra ki dhup aur ye parchhaiyan tamam

harf-o-sada ki lai pe jo utra tera khayal
bajne lagi hain ghazlon mein shahnaiyan tamam

garche piroe sher mein jazbaat-e-rang-o-bu
lekin bayan na ho sakin gahraiyan tamam

uthte rahe hain shan se yaran-e-mai-kada
hoti rahi hain dahr se ranaiyan tamam

aamad ka silsila nahin sher-o-sukhan mein aaj
phaili hui hain qafiya-paimaeyan tamam

'zakir' nashist-e-dard maqam-e-khirad bhi hai
mansub is khirad se hai binaiyan tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close