ek kafir-ada ne lut liya un ki sharm-o-haya ne lut liya ek but-e-bewafa ne lut liya mujh ko tere khuda ne lut liya aashnai buton se kar baithe aashna-e-jafa ne lut liya hum ye samjhe ki marham-e-gham hai dard ban kar dawa ne lut liya un ke mast-e-khiram ne mara un ki tarz-e-ada ne lut liya husn-e-yakta ki rahzani tauba ek fareb-e-nawa ne lut liya hosh-o-iman-o-din kya kahiye shokhi-e-naqsh-e-pa ne lut liya rahbari thi ki rahzani tauba hum ko farman-rawa ne lut liya ek shola-nazar ne qatl kiya ek rangin-qaba ne lut liya hum ko ye bhi khabar nahin 'gulzar' kab but-e-bewafa ne lut liya hae wo zulf-e-mushk-bu tauba hum ko baad-e-saba ne lut liya un ko 'gulzar' main khuda samjha mujh ko mere khuda ne lut liya