ek lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ek gham jo qayamat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek chehra nigahon ke liye faiz-rasan tha
ek khwab ziyarat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek naqsh tasawwur ke pare bhi tha mujassam
ek wahm haqiqat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek dagh jo rakhta tha mere sine ko raushan
ek nam jo tohmat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek saut-e-mahz raunaq-e-virani-e-dil thi
ek gul dam-e-wahshat ke siwa aur bhi kuchh tha

ek yaad khayalon ke alawa bhi thi maujud
ek zakhm aziyyat ke siwa aur bhi kuchh tha

ye daur qayamat ka jise hum ne guzara
ek umr ki mohlat ke siwa aur bhi kuchh tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close