rahzan hun ki rahnuma hun main kaun jaane ki asl kya hun main wo jo ibrat ka ek nishan thahre bagh walon ko jaanta hun main mujh se khalq-e-khuda larazti hai kis nauiyat ka parsa hun main sadgi ko bhi jis pe rashk aae is takalluf ki intiha hun main kis ne dekha ye dekhna mera dil ki aankhon se dekhta hun main bhediye ki nigah hai jin par aisi bhedon ko hankta hun main