ek makan aur bulandi pe banane na diya hum ko parwaz ka mauqa hi hawa ne na diya tu khuda ban ke mitaega hamein hi ek din sar tere dar pe isi dar ne jhukane na diya muttahid hone ka jazba tha sabhi mein lekin muttahid hone ka mauqa hi hawa ne na diya tum pe chha jate shajar bante jo nanhe paude tum ne achchha hi kiya panw jamane na diya wo to aamada tha bandon ki shikayat sun kar kuchh farishton ne zamin par use aane na diya aap darte hain ki khul jae na asli chehra is liye shahr ko aaina banane na diya