ek masum tamanna ki faza thi kal tak

ek masum tamanna ki faza thi kal tak
zindagi aisi kahan hosh-ruba thi kal tak

ghaiz aandhi ka bana ab hai muqaddar mera
dil ke aangan mein mahakti si saba thi kal tak

naghmagi aa gai kis taur se us ke lab par
jis ki aawaz tarannum se juda thi kal tak

aaj khamosh bahut bazm-e-bahaaran kyun hai
gungunate se libaade mein hawa thi kal tak

husn ki shokh-nazar mange hai qimat apni
jhukti aankhon ke dariche mein haya thi kal tak

ye jo hangamon se marbut hai mahfil meri
kaif-za dil-ruba bulbul ki sada thi kal tak

sar-nigun waqt ke qadmon mein hai khwahish apni
warna har sans mein ek mauj-e-ana thi kal tak

ab kahan shauq ko milta hai badhawa 'jafar'
narm palkon mein ghuli ek ada thi kal tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close