ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai karb-e-ehsas hai ya karb-e-ana hai kya hai daur-e-hazir mein har ek shakhs hai kyun sahma hua dil mein jo khauf hai wo khauf-e-fana hai kya hai mujh ko is lafz ka mafhum bata do yaro dosti nam hai jis ka wo jafa hai kya hai baat matlab ki kahun us se magar pahle zara ye to malum ho wo khush hai khafa hai kya hai is qadar ranj-o-alam itne masaib tauba zindagi silsila-e-ah-o-buka hai kya hai jo giraftar hua is mein ulajhta hi gaya zulf-e-jaanan bhi koi dam-e-bala hai kya hai kitni hi bar ye chaha ki zara dekhun to us ki aankhon mein jo ek nam likha hai kya hai