ek musht-e-par hun mujhko yaqinan sukun nahin

ek musht-e-par hun mujh ko yaqinan sukun nahin
lekin hawa uda ke jo le jae yun nahin

aksar zamane walon ne socha hai is tarah
maujud hun magar ye khabar ho ki hun nahin

khuddari-e-mizaj kuchh itni aziz hai
mil jae sab jahan to main us ko dun nahin

waiz ne yun bana liya khud nazm-e-zindagi
hote rahen gunah pa us ko ginun nahin

nazzara chahiye to bayaban mein aaiye
sab kuchh wahan pe sach hai zara sa fusun nahin

duniya ye chahti hai 'wasiya' har ek se
apni to sab kahun pe kisi ki sunun nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close