ek na ek diwar sarakti rahti hai ghar ki chhat har rut mein tapakti rahti hai jism mera shahron mein hansta gata hai ruh meri jangal mein sisakti rahti hai titli pyar kare kaghaz ke phulon se khushbu sahraon mein bhatakti rahti hai bhid mein bhi ek chand chamakta rahta hai shahr mein bhi pael si chhanakti rahti hai chaaron or ke khali manzar mein har sans aankh meri teri surat takti rahti hai jang lade barson guzre lekin ab bhi sar pe mere talwar chamakti rahti hai barf to dur pahadon par girti hai 'ashk' aag meri wadi mein dahakti rahti hai