ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai

ek naqsh-e-khayal ru-ba-ru hai
jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai

har phul ke sath ek kanta
har dost ke sath ek adu hai

dil hai to hazar tujh se achchhe
aisa hi to ek bada wo tu hai

dushman ke jigar ka khar main hun
aur us ke gale ka haar tu hai

daman jo hai parda-dar-e-wahshat
is mein bhi kai jagah rafu hai

main aap hi aap ro raha hun
kuchh aap hi aap guftugu hai

mahshar mein kisi ka hae kahna
ab aap ke hath aabru hai

o ghair ko aankh dene wale
'muztar' bhi nigah-e-ru-ba-ru hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close