ek pahuncha hua musafir hai dil bhatakne mein phir bhi mahir hai kaun laya hai ishq par iman main bhi kafir hun tu bhi kafir hai dard ka wo jo harf-e-awwal tha dard ka wo hi harf-e-akhir hai kaam adhura pada hai khwabon ka aaj phir nind ghair-hazir hai laj rakh li teri samaat ne warna 'tabish' bhi koi shair hai