ek patjhad sa hai laga mujh mein phir koi gul nahin khila mujh mein zabt mein mubtala meri aankhen ek dariya sa sukhta mujh mein ghar ki khidki se jhonkne wala meri aankhon se jhankta mujh mein dil-shikasta mein bhar gai silan koi shiddat se ro raha mujh mein teri yaaden bhi kar gain hijrat ab to kuchh bhi nahin bacha mujh mein