ek saza aur asiron ko suna di jae

ek saza aur asiron ko suna di jae
yani ab jurm-e-asiri ki saza di jae

dast-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo aag lagi hai wo bujha di jae

us ki khwahish hai ki ab log na roen na hansen
be-hisi waqt ki aawaz bana di jae

sirf suraj ka nikalna hai agar subh to phir
ek shab aur meri shab se mila di jae

aur ek taza sitam us ne kiya hai ijad
us ko is bar zara khul ke dua di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close