ek shama ka saya tha ki mehrab mein duba ek main ki tere hijr ke girdab mein duba meri shab-e-tarik ka chehra hua raushan suraj sa koi sham ko mahtab mein duba hai dida-e-be-khwab mera kitna farebi jab dekhiye lagta hai kisi khwab mein duba dil tha ki koi khel mein phenka hua patthar maujon se jo ladta hua talab mein duba khulta hai faqat itna wo az-rah-e-murawwat milta hai magar majlisi aadab mein duba patal ki gahrai se ubhra mera aansu chupke se phir ek kuza-e-be-ab mein duba tha jis ka falak-bos fasilon mein tahaffuz wo ghar bhi mera waqt ke sailab mein duba