ek taswir aankhon mein aati hui ek jati hui

ek taswir aankhon mein aati hui ek jati hui
phir wahi sham hai phir wahi yaad hai dil dukhati hui

shab ke dariya mein uthti hai ek mauj-e-mazi bala-khez kyun
laut jati hai kyun sahil-haal se sab mitati hui

aur kya hone wala hai ab jo abhi tak nahin ho saka
sun raha hun kahin dur se phir sada kun ki aati hui

waqt to kuchh lagega par aakhir ye kohsar kat jaega
dard ki ek nadi mere sine se rasta banati hui

ek gul tha kahin par akela udasi mein duba hua
ek titli khayalon mein aati hui muskuraati hui

dil samundar mein dube hue sare lafzon ki lashen liye
kashtiyon aansoon ki chali aati hain dagmagati hui

titliyan mere kamre mein udti hui jharna bahata hua
ek pari-zad apne watan ki kahani sunati hoi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close