ek tishna-lab ne baDh ke jo saghar uTha liya

ek tishna-lab ne badh ke jo saghar utha liya
har bul-hawas ne mai-kada sar par utha liya

maujon ke ittihad ka aalam na puchhiye
qatra utha aur uth ke samundar utha liya

tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe khanjar utha liya

main aisa bad-nasib ki jis ne azal ke roz
phenka hua kisi ka muqaddar utha liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close