ek to ishq ki taqsir kiye jata hun us pe main pairwi-e-'mir' kiye jata hun mazarat ghar ke charaghon se karunga kaise main jo takhir pe takhir kiye jata hun yani taswir-e-zaman par hai tasarruf itna dekhta jata hun tahrir kiye jata hun baghban tujh se to main dad-talab hun bhi nahin ped sunte hain main taqrir kiye jata hun ye ilaqa na ho dariya ki amal-dari mein main jahan naw ko zanjir kiye jata hun aakhirash khak uda kar sar-e-rahe dil ki ek duniya ko main dil-gir kiye jata hun us ki buniyaad mein ek kham-e-khayali hai 'naim' shahr jo khwab mein tamir kiye jata hun